Pehle kabhi jab kisi din, Guftgoo na hoti thi,
To agle din vo kehti thi, “kitni baate jama hai batane ko..”
Ab to ek arsa beeta, k koi baat nahi ki hai humne,
Kya baat hai yar, ab baat nahi, koi tumhare paas batane ko. ?
hindi thoughts
Aisa Hi hun
Aksar sapno ki neev par
Umeedo ke pul bana leta hun
Ankhe band karta hun
Aur tuzhe paa leta hun (♥)
Bus aisa hi hun.
Wandering thoughts
Tasalli si hai Dil ko,
Aur Ruuh ko Sukoon hai
Tere hone se ae Hum Dum,
Hai Khushi si aur Junoon hai…
Wandering Thoughts
Jab pyaar ki nazar se unhein dekhte dekha,
Paani ki tarah beh gaya, barson ka gilaah bhi…..
Wandering thoughts
Teri Ek Galti Ki Saza Main Aaj Tak Bhugat Raha Hun…
Kaash Ki Tune Us Shaam, Palat Ke Naa Dekha Hota..!!
Have a nice weekend pals 🙂
Wandering Thoughts
Kuch daudta sa guzrta hai din ka safar,
Aur rengti rehti hai, raaton ki doorie..
Kaisi hai ye Na-insaafi,
Kaisi hai ye kambakhat majboori..
Wandering thoughts
Kal talak jo sunsaan the,
Ye chaubare, ye galiyan.
Dastak di unhone to jaise,
Banjar zameen par, sawan barsa.
Shukr hai khuda ka, ki vo tashreef laaye
Varna yu hi guzar Jata har mausam tanha..
Wandering thoughts
Woh patthar ban ke jee rahey h@i ….
Aur hum sheesha ban ke toot rahe hai ….
Wandering thoughts
Khade Paani Main to Tairta Hai Patta Bhi,
Jo Lehro Ko Cheer Ke Taire, Vo Insaan hai..