Tasalli si hai Dil ko,
Aur Ruuh ko Sukoon hai
Tere hone se ae Hum Dum,
Hai Khushi si aur Junoon hai…
Wandering Mind
Wandering thoughts
Teri Ek Galti Ki Saza Main Aaj Tak Bhugat Raha Hun…
Kaash Ki Tune Us Shaam, Palat Ke Naa Dekha Hota..!!
Have a nice weekend pals 🙂
Wandering Thoughts
“Magan Tha Main Sabzi Main Nuks Nikalne Mein…
Aur Vo khuda Se Suukhi Roti Ka Shukar Mana Raha Tha..!!!”
Going to bed with this thought.
PS – “Thanks all for appreciating this category with your likes & comments”
Wandering Thoughts
Kuch daudta sa guzrta hai din ka safar,
Aur rengti rehti hai, raaton ki doorie..
Kaisi hai ye Na-insaafi,
Kaisi hai ye kambakhat majboori..
Wandering thoughts
Kal talak jo sunsaan the,
Ye chaubare, ye galiyan.
Dastak di unhone to jaise,
Banjar zameen par, sawan barsa.
Shukr hai khuda ka, ki vo tashreef laaye
Varna yu hi guzar Jata har mausam tanha..
Wandering thoughts
Woh patthar ban ke jee rahey h@i ….
Aur hum sheesha ban ke toot rahe hai ….
Wandering thoughts
Khade Paani Main to Tairta Hai Patta Bhi,
Jo Lehro Ko Cheer Ke Taire, Vo Insaan hai..
Wandering thoughts
Aao Kabhi Yun Bhi Mere Pass Ke
Aane Me Lamha Or Jane Me
Zindagi Guzar Jaye
Wandering thoughts
“Kyun barasne lage hai, nayan ambar ke,
Kya fir se badal ka dil toota hai ?
Ya saazish hai chedne ki beeti baaton ko,
Jo aasmaan ke aanchal se neer tapkaa hai…”